JAMAAT-UL-MUSLIMEEN HAQ AUR AHL-E-HADĪS MEŃ FARQ Part 1- 30 Jamaat-ul-Muslimeen Aūr Aih’l-e Hadīs Aik Na’hiń Ho Sakte. Aih’l-e Hadīs Khūd Ko Aik Firqa Taslīm Karta Hai Jab Ke Jamaat-ul-mūslimeen Ka Firqoń Say Ko’ī Tā’lūq Na’hiń. In Messages Meń Āpko In Dono Jamātoń Meń Vāze Farq Bataya Jā’eyga Jiske Ba’d Āp Per Ye Lāzim Hoga Ke Āp Firqa Bandi Chor Kar Vahid Haq Jamā’at Ki Taraf Ājayain. Bohat Se Aiterazāt Ke Javab Aūr Ijtāmiat Jo Min O Un Khālis Shari’at (Devine Law) Per Chalti Ho Paish Ki Jā’ey’gī Insha Al-lāh. Rasoolullah ﷺNe Farmāyā: Har Bach’cha Fitrat-e-Islām Par Paida Kia Jāta Hai Ba’d Meń Ūskay Vālidaiń Ūsay Yahoodi Yā Essaī Yā Majoo’sī (Fire Worshiper) Bana Le’tein Haiń [Sahīh Būkhari Tafsīr Sūrah Rome]. Vālidaiń Ke Zehan Meń Ye Chīz Pehlay Se Maujood Hoti Hai Ke Ūn’ke Ābā O Ajdād Hi Haq Par The Aūr Bāqi Sab Bātil. Voh Apnay Ābao O Ajdād Ke Khilāf Kūch Sūn’na Pasand Na’hiń Kar’tay HAQ Ko Thūkra De’te Haiń Lekin Ūs Chīz Ko Chorna Gavārāh Na’hiń Kar’te Jo Pehle Se Ūn’ke Zehan Meń Jagūzin Hoti Hai. Phir Voh Apne Bach’choń Ki Zehan Sāzi Bhi Ū’sī Ūsool Par Karte Haiń. Phir Voh Hi Bach’chā Jo Fitrat-eIslām Per Paida Hūva Tha Zehan Parasti Ki Vaj’h (reason) Se Yahoodi, Essaī Majoosī, Shia, Hindu, Barelvi, Aih’l-e Hadīs, Han’fi Etc. Ho Jāta Hai Lekin Mūslim Na’hiń Hota. Mayar-e-Haq To Sirf Mūslim Kehlvāna Tha Lekin Aqal Par Parda Parh Jāta Hai Aūr Dil Par Mūhar Lag Jāti Hai Ab Hidāyat Nasīb Ho To Kaise Ho? Aūr Zehan Badlay To Kis Tarah Badlay? Isī Zehan Parasti Se Chut’kāra Dilane Aūr Taslīm Haq Ke Jazbe Ko Az Sar e Nau Qāyam Karne Ke Li’ye Al-lāh Rabbulizzat Ne Mūkhtalif Zamāno Aūr Qaumoń Meń Anmbia (AS) Ko Maboos Farmāyā. Lekin Ye Zehan Ke Parastār Anmbia (AS) Ko Ye Hi Javāb Dayte Rahe. Al’lāh Ta’ālā Farmātā Hai: Ham Ne Apne Āba-o-Ajdād Ko Aik Khās Tariqe Par Pāya Hai Aūr Ham To Bas In’hiń Ke Qadam Ba Qadam Chalaińge [Sūrah Zūkhrūf 23]. Apne Ūsool Aūr Maslak Ke Difā (defence) Ke Li'ye Ai’se Ūsool Maratab Kar’te Haiń Jin’se Zehan Parasti Aūr Jamood Meń Izāfa Ho Aūr Ūnke Nām Ni’hād Haq Ko Jis Ko Voh Nādāni Se Haq Mān’ne Ka Tahiy’yah (determination) Kar Chūke Haiń Sahārā Mil Sake Maslan: Be-shak Har Is Hadīs Ko Jo Hamāre As’hāb Yāni Fi’qah - Ke Khilāf Ho Nas’kh Per Moh’mal (meaningless) Kia Jayega Ai’si Sakht Zehan Parasti Jinki Ki Jāye Voh Haq Ko Kai’se Taslīm Karainge? Mazīd Likh’te Haiń: Har Voh Āyat Jo Hamāre Fiqāh Ke Qaul Ke Khilāf Hogī Ūse Ya To Naskh Per Moh’mal Kia Jāyega Yā Terjīh Par [Ūsool-E-Kerkhi 28-29] Ya’ni Al’lāh Aūr Rasool ﷺKi Bāt Ko Mansookh Kia Jā’ye Magar Apne Fiqa Ke Ūsool Na’hiń. Agar Iske Bā’d Bhi Ye Gūmrāhi Na’hiń To Phir Imān Ka Dāva Bekār Hai.