Chahat ke pankhon pe is kadar sawar hai dilon ke armaan; Jo kambakht udne ka ek ishaara maangte hain; Jakde hain bediyon mein par phir bhi us ek jhalak ko pane ke liye bekarar hain; Tod kar nikle hain is kadar un rahon se ki nigahon mein hairaniyan bhar chale hain sabki; Dekh kar jise itraa aur ithla ke chal rahi hai ye chahat; Badi muddaton ke baad milte hain kuch aise lamhe, jinhe hum khud apni khushi se bayan kar sakein; Un betabiyon ko dil mein lene ka ehsaas ye bediyan kya jaane; Unhe tod ke badhne ki khushi ko mehsus karna kya jaane‌‌.
Anamika Gautam