7.
Aaqaa Tume Hay Ahmado Haydar Kaa Waasta Zehraa Kaa Aur Shabbiro Shabbar Kaa Waasta Baqir Kaa Aur Aabide muztar Kaa Waasta Dukh Dard Aur Ranjo Alam se Karo Rihaa
8.
Mawlaa Sawaal Laaye Hayn Khaali Na Phernaa Daaman Hamaare Gawhare Maqsuud se Bharnaa Nazren Manaai Hamne Jo Maqbuul Hi Karnaa Darbaar Se Maayuus Kisiko Na Phernaa
9.
Har Subho Shaam Meri Dua Hay Mere Mawla Hay Ishke Madinaase Mera Dil Tarap Rahaa Yaa Sibte Mustafa Hame Bulwaalo Karbalaa Chume Zarihe Paak Shahanshaahe Karbalaa
10.
Aur Kaazmayno Saammarra kaa Showkh Hay Baraa Mashhad Me Orr Najaf Me Ziyarat Karun Adaa Yaa Jaafare Saadiq Meri Arzi Ho Pazira Rawzaa May Dekhuun Zaynabe Ulyaa Maqaam Ka
11.
Ya Jaafare Saadiq Meri Arzi Bahaal Ho Fayaaz Ho Kareem Ho Haydar Ke Laal Ho Shiyon Ko Do Jahaan Me Na Ranjo Malaal Ho Jo Dushmanaane Din Hay Unper Zawaal Ho
12.
Hoo Aap Sakhi Ibne Sakhii Ay Mere Mawlaa Jo jo Ke Hayn Bimaar Unhe Jald Ho Shifaa Laa Wald Ko Awlaad Ho Ay Khaasa e Khudaa Ho Shaad Do Jahaan Me Muhib Aap Ke Sadaa
13.
Parwardigaar Ja’afare Sadiq Ka Waastaa Maangaa Jo Kuch Huzuurse wo Jald Ho Ataa Ham Waasta Dete Hay Tujhe Aale Abaa Ka Sub Shiyon ki Maqbool Ilaahi Ho Iltejaa
7
Noor - e - Irfaan