Parmanu (Trendy Baba Series)

Page 52

ISS BAAR AVAAK HONAY KI BAARI KK AUR BIRLA KI THI, PARMANU KO HOSH SAMBHALNEY MEY THODA SAMAY LAGNA THA LEKIN ANTHONY KK AUR BIRLA KI JAAN BAKSHNEY KAY MOOD MAI NAHI THA ANTHONY- Mama ji, ab aapka khel khatam.......... HADDIYO KAY DHAANCHEY KO BAAT KARTEY DEKH KK AUR BIRLA KAY HOSH UDD GAYE. KK aur Birla agar darr se jadd bhi naa huey hotay to bhi wo Anthony kay krodh se bachne kay liye kuch naa kar paate. Kankaal mey badla Anthony unn dono par koi reham nahi kar raha tha. KK aur Birla ko sakshat maut dikhai de rahi thi. Anthony nay unhe apni thandi aag mey jakad liya. Tadapte huey apni jaan bachane ki ek kosish aur ki aur apne hosh sambhaal rahe Parmanu ki gardan ko apne haath mey fit yantra se jakad liya. KK - Ru...ruk jaa varna tera dost bhi maara jaayega. Anthony par KK kay shabdo ka jadoo sa asar hua aur wo shant ho gaya. Parmanu ko ab bhi KK nay apne machini shikanje se kaskar jakad rakha tha. KK - Jaa, Birla, reactor ka wo button daba de jiss se sirf fusion prakriya chalu ho jaaye aur dheere dheere aniyantrit fusion uss seema tak pahunch jaaye ki kum se kum poora Roopnagar khatm ho jaaye. Yaha se nikal kar hum apne maksad ki phir se ek nayi shuruat karenge. Birla nay reactor kay paas pahunchkar fusion prakriya ko shuru karne waala button daba diya. Tabhi KK ka machini shikanja Parmanu ki gardan se hatkat nishkriye hokar gir jaata hai. Ye kaarnama tha Probot ka jisne ye sab jammer ki madad se kiya tha aur Parmanu ki madad kay liye wo waha pahunch chuka tha. Parmanu bhi ab tak apne hosh sambhal chuka tha. Anthony, Parmanu aur Probot ka khatra dekh KK turant waha se transmit ho gaya aur ab tak reactor kay paas muskura raha Birla phir se darr se kaampney laga. Anthony ki thandi aag se wo jald hi behosh ho gaya. Lekin samasya pal pratipal vikral roop dhaaran kar rahi thi. Probot nay samasya ki gambheerta se Anthony aur Parmanu ko avgat karaya. Probot - Aniyantrit fusion nuclear blast aas paas kay bahut bade elake ko nigal sakta hai. Anthony - Probot ko lekar tum yaha se nikal jaao, Parmanu. Roopnagar aur aas paas kay elake kay jitne logo ko bacha paao bacha lo. Mai apni thandi aag se iss reactor ko dhakk leta hun. Probot - Aisa karne se iss dhamake par zyada asar nahi padne waala, Anthony. Anthony - Kuch to asar padega....ab Anthony ka wajood Roopnagar kay saath hi fanaa hoga. Parmanu, ho sake to mere parivaar ko bhi bacha lena.


Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.