Parmanu (Trendy Baba Series)

Page 25

ka shauk chadha hoga. Vinay inn baaton ko nazarandaaz kar unn banjaro se pooch taach karne mey jutt gaya par ye poochtach zyada dair tak nahi chal paayi kyoki ek hawaldaar khabar lekar aaya. "Sir....Kai logo nay thane ka gheraav kar liya hai aur unki maang hai ki inn sabhi banjaro ko turant chhoda jaaye." Inspector Dhanush - Inspector Vinay, Mai to pehle hi keh raha tha.....dekho tumhari wagah se kitna jhameela khada ho raha hai. Vinay ki samajh mey nahi aa raha tha ki banjaro ki rihaai kay liye itni jaldi aur itne saare log kaise aa gaye. Vinay nay opchariktaaon ka bahana banakar sthiti ko dheema kiya. Iss Dairi se bheed aakroshit ho gayi aur unhone Police quaters ko gher liya jaha police waalo kay parivaar thay aur ab tak ek sadharan se lag rahe jansamooh kay haatho mey ghatak hathiyaar nazar aane lage. Thane ki upari manzil se Inspector Vinay unhe samjhane ki kosish kar raha tha par bheed kuch bhi sunne ko tayyar nahi thi. Itna sab aur bheed kay haatho mey hathiyaar dekhkar sabhi ko pata chal chuka tha ki ye banjare kisi hinsak girooh kay sadsya hain jinko inke saathi chhudane aayein hai aur shayad shehar mey ho rahi arajakta kay peeche inhi logo ka haath hai. Aakhirkaar, Vinay Police waalo kay parivaaro ko bachane kay liye Inspector Vinay nay sabhi Banjaro ko riha kar diya. Halaki, kisi nay iss nirnay ka viroodh nahi kiya par sabhi police waale itne saare apradhiyon ko khula chhodne se niraash thay. Iss beech Vinay apni police ki vardi kay neeche maujood parmanu belt ka ek button daba chuka tha. Sabhi banjare chhote chhote gutto mey bantkar Delhi kay alag-alag elako mey mil gaye taaki unke baare mey kisi ko pata naa chale aur wo sabhi bach jaaye. Kuch hi dair baad Vinay, Parmanu bankar tezi se aakash mey parvaaz kar raha tha. Probot - Parmanu tumne unn banjaro ko riha karte waqt kya kiya.....mai samajh nahi paaya....tumne pehle kabhi aisa nahi kiya. Parmanu - Maine apni Parmanu urga ke sukhshma parmanu kan (atoms) ki barsaat se unn sabhi banjaro aur unke saathiyon ko nehla diya jisko wo aankhon se nahi dekh sakte. Yaha door-door tak koi commercial atomic plant ya atomic power station nahi hai. Ab jahan jahan meri belt aise sukhshma kano kay bhandaar ko trace karegi unn logo ko mai pakad lunga. Probot - Lagta hai ab to mai bas tumhari belt charge aur manoranjan karne waala Robot bankar reh jaaunga. Parmanu - Aisa kabhi mat sochiye, ab aap hi to mere apne bache hai iss duniya mey. Jald hi Parmanu nay sabhi Banjaro hi nahi balki unhe chhundane aaye unke saathiyon ko Delhi kay kai elako se giraftaar kar liya. Trendster apni iss haar se tilmila gaya aur ab usne akele hi Delhi ko tabah karne aur apne saathiyon ko chhudane ka prann liya.


Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.