Skip to main content

The first Revelation

Page 1

THE FIRST

REVELATION


Rasoolullah s.a.w. ki umar jab 40 saal ke qareeb ho chuki tab muhammed s.a.w. ko tanhai pasand hogai , tab wo pani lekar makkah se koi 2 meal ki doori par gar-e-hira mein ja rehte aap s.a.w. jab wahan jate to hazrat khadijah r.a. bhi unke saath jateen. aur aas paas hi rehti . muhammed s.a.w. pura ramzaan usi gar-e- hira mein rehte the .


Jab muhammed s.a.w. pure 40 saal ke ho gae tab se unke khawaab sach hone lage aur kaha jata hai ke yehi rasoolon ki nabuwat ki umar hai .


Isi tarah muhammed s.a.w. ramzaan ke mahine mein gar-e-hira mein the to unke paas farishta aaya aur isne kaha padho , aap s.a.w. ne kaha mein padha nahi hun, ispar isne aap s.a.w. ko pakad kar zor se daba diya aur phir kaha padho , is baar phir aap s.a.w. ne kaha mein padha nahi hun, ispar usne phir se aap s.a.w. ko zor se daba diya , aur phir kaha IQRA BISMI RABBIKAL LAZI KHALAQ Aur surah alaq ki 5 aayaten padhi.


in aayat ko sunte hi aap s.a.w. palte aur hazrat khadijah r.a. ke paas pohuche aur kaha , mujhe chadar udhao , mujhe chadar udhao , phir khadijah r.a. ne unko chadar udha di yahan tak ke unko sukoon aagya .


Iske baad aap s.a.w. ne pura waqia khadijah r.a. ko sunaya , aur kaha ke mujhe kya ho gaya hai ? , mujhe apni jaan ka darr lagta hai. ispar khadijah r.a. ne kaha hargiz nahi, bakhuda aapko Allah kabhi zaleeel nahi karega . aur phir unki tareef ki . iske baad aap s.a.w. ko lekar apne cousine bhai WARQA BIN NAUFAL ke paas le gaeen.


wrqa bin naufal ek Christian insaan the aur tibrani language mein bible yani injeel likhte the .


aur is waqt budhe aur nabina (blind) ho chuke the . khadijah r.a ne unke paas pohunch kar kaha , bhaijaan aap apne bhatije ki baat suniye .


warqa ne kaha , bhatije tum kya dekhte ho ? rasoolullah s.a.w. ne puri baat bata di ispar warqa ne kaha , ye wahi naamoos hai jo musa a.s. par nazil kiya gya tha. kaash main is waqt zinda rehta jab aap s.a.w. ki qaum ke log aapko nikaal degi.


Muhammad s.a.w. ne kaha achha to kya log mujhe nikaal denge? warqa ne kaha , han jab bhi koi is tarah ka paigham lata hai jaisa tum lae ho to isse zaroor dushmani ki gai aur agar maine tumhara zamana paliya to tuhari zabardast madad karunga . iske baad warqa jald hi inteqaal kar gae, aur wahi yani revelation bhi band ho gai .


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
The first Revelation by Khan Ruqaiya - Issuu