I Love to Pray Salah!
“
Hazrat Malik bin Huwairith radiyallahu ta’ala ‘anhu se marwi riwayat mein hai ke Rasool ul Allah sallallahu ‘alaihi wa sallam ne farmaya;
~
“
Isi tarah namaz padho jaisa ke tum mujhe padhte hue dekho. ~ Bukhari
Humne Namaz ko Kuch hisso mein baat diya hai. Ab hum ise ek ek kar ke padhenge. Inshaa Allah
WUDU
QIBLA RUKH
Insaan sab se pehle wudu kare phir apne Satr ko dhaanpe, Qibla rukh hokar khada ho jae, phir Khalis Allah ta’ala ke liye namaz ki niyyat apne dil mein kare.
RAFA’-UL-YADAEN
Allah is great
Haantho ko kandhe ya kaano ki lau’ tak utha ke “ALLAHU AKBAR” kahe, Apne haanth seene par is tarah bandhle ke seedha haath ulte haath ke upar ho, aur apni nigah sajde ki jagah par rakkhe.
SANA
Ae Allah teri zaat paak hai, khubiyon wala tera naam mubarak hai aur teri shaan unchi hai aur tere siwa koi ma’abood nahi Pehle sana padhe, phir tawooz aur tasmiyyah ke baad Surah Al-Ftaiha padhe aur iske saath koi Surah padhle.
TAWOOZ & TASMIYYAH
Main panah mein aata/ aati hun Allahi ki Shaitan mardood se
Allah ke naam ke saath jo bada meherbaan Bohut rehem karne wala hai
SURAH AL-FATIHA
Sab ta’areefen Allah Ta’ala ke liye hain jo tamam jahanon ka palne wala hai. Bada meherbaan nihayat rehem karne wala hai. Badle ke din ka malik hai. Hum sirf teri ibadat karte hain aur sirf tujhse hi madad mangte hain. Humein seedhe raste ki hidayat de. Un logon ko rasta jin par tune ina’am kiya Nake unka rasta jin par tune ghazab kiya.
RUKU’ Dauran-e-Ruku’ kamar bilkul seedhi ho aur dono haath is tarah ghutno par rakkhe hue hon ke baazun bilkul seedhe hon, Ruku’ mein sar kamar ke barabar hona chahiye na zyada niche aur na zyada upar, ab Ruku’ ki tasbeehat padhe, phir SAMI’ALLAHU LIAMN HAMIDAH keh kar aur rafa’-ul-yadaen karte hue seedha khada ho jae, phir RABBAN LAKAL HAMD kahe aur aaram se khada ho jae.
Allah ne sun liya jisne uski ta’areef ki
Ae humare Rabb tere hi liye sab ta’areef hai
SAJDAH Phir ALLAHU AKBAR kehte hue is tarah sajde mein jae ke pehle zameen par apna haath aur phir dono ghutne rakkhe, Sajde mein 7 aa’za matlab dono haath, dono paon, dono ghutne, aur chehra (Peshane aur naak) zameen par lage hone chahiye sajde mein kohniyan zameen se upar aur pehluon aur raano se alag rahen.
Ae mere Rabb mujhe ma’af karde Sajde ki tasbeehat padhne ke baad ALLAHU AKBAR kehte hue apne ulte pair ko biccha kar, seedhe pair ko is tarah khada karen ke ungliyan Qibla rukh hon pure itminan se baith jayen aur, RABBIGH FIRLI ya dusri du’a padhen.
phir ALLAHU AKBAR keh kar usitarah dusra sajda karen phir ALLAHU AKBAR keh kar jalsa-e-istrahat ke liye thoda der baithe aur phir apne haathon par wazan dalta hua dusri raka’at ke liye khada ho jae. Dusri raka’at isitarah padhe, phir dusri raka’at ke dusre sajde ke baad tashahhud ke liye baithe jaise do sajdon ke darmiyan baithe the.
Ab Tashahhud padhe, teesri aur chauthi raka’at mein Surah Fatiha ke saath koi Surah mila kar padhna zaruri nahi, ab Aakhri tashahhud mein apni pusht ko is tarah zameen par rakh kar baithe ke seddha pair ulti taraf kuch bahar aajae is tashahhud mein ATTAHIYYATU, DAROOD-E-IBRAHEEM, aur MASNOON DU’AEN bhi padhe, Mukammal tashahhud mein apne seedhe haath ki shahadat ki ungli se ishara karte rahen.
TASHAHHUD
اﻟﺘﺤِﻴﺎتُ ﻟِﻠﻪِ وَاﻟﺼﻠَﻮَا ُ ت وَاﻟﻄﻴﺒَﺎتُ ،اَﻟﺴَﻼمُ ﻋَﻠَﻴْﻚَ َأﻳﻬَﺎ اﻟﻨﺒِﻲ وَرَﺣْﻤَﺔُ ﷲِ وَﺑَﺮَﻛَﺎﺗُﻪُ ،اَﻟﺴَﻼمُ ﻋَﻠَﻴْﻨَﺎ وَ ﻋَﻠَﻰٰ ﻋِﺒَﺎدِ ﷲِ اﻟﺼﺎﻟِﺤِﻴﻦَ، أ َﺷْﻬَﺪُ أ َنْ َﻻ إ ِﻟَٰﻪَ ِإﻻ ﷲُ، وَأ َﺷْﻬَﺪُ َأن ﻣُﺤَﻤﺪًا ﻋَﺒْﺪُهُ وَرَﺳُﻮْﻟُﻪُ
DUROOD-E-IBRAHEEM
SALAM
Salamati ho tumpar aur rehamt ho Allah ki tumpar
Aakhir mein dno taraf matlab seedhe aur ulte janib “SALAM� pher de. Aur yaad rahe ke agar sirf ek taraf (yaani seedhi janib) hi salam pher diya jae to bhi kifayat karjata hai.
Texts from; The Book NAMAZ KI KITAAB of Hafiz Imran Ayyub Lahori hafizhullah