EVENING ADHKAAR FROM HISNUL MUSLIM AL NAKHLA
K I DS R O F
1
ALLAH KE NAAM KE SAATH JO BADA MEHERBAAN BOHUT REHEM KARNE WALA HAI. Keh dijiye main panah mein aata hun logo ke rab ki , logon ke badshah ki , logon ke maabood ki , waswasa dalne wale , chhup chhup kar hamla karne wale ke shar se jo waswasa dalta hai , logon ke dilon mein , jinno mein se aur insaanon mein se .
2
3
ALLAH KE NAAM KE SAATH JO BADA MEHERBAAN BOHUT REHEM KARNE WALA HAI. Keh dijiye main panah mein aata hun subha ke rab ki , uske shar ki jo usne paida kiya , aur andhere ke shar se jab wo chha jae , aur gathiyon mein phoonk marne waliyon ke shar se , aur hasad karne wale ke shar se jab wo hasad kare.
4
ALLAH KE NAAM KE SAATH JO BADA MEHERBAAN BOHUT REHEM KARNE WALA HAI Keh dijiye wo Allah ek hai , Allah be niyaaz hai , naa isne kisi ko paida kiya naa hi wo paida kiya gaya , aur iska koi humsar nahi .
5
fazeelat Jo insaan teeno qul teen baar subha aur teen baar shaam ke waqt padhe , ye amal uske liye dunya ki har cheez ki kifalat ke waaste (liye) kafi ho jaegi . sunan abi dawood Hadith no. 5082
6
7
ALLAH KE NAAM KE SAATH JO BADA MEHERBAAN BOHUT REHEM KARNE WALA HAI. Allah, iske siwa koi maabood nahi, zinda hai sab ko thaamne wala hai, na use oongh aati hai aur na neend, isi ka hai jo aasmanon aur zameen mein hai, kon hai jo sifarish kare? uske paas uski ijazat ke bagair, wo jaanta hai jo inke saamne hai aur jo inke peechhe hai aur wo nahi ihata kar sakte iske ilm mein se kisi cheez ka magar jitna wo chahe, uski kursi samae hue hai aasmanon aur zameen ko , usko inki hifazat nahi thakati, aur wo buland martaba , azmat wala hai . 8
fazeelat Jo insaan subha ke waqt aayat-ul-kursi padhleta hai use shaam tak jinno se mehfooz kardiya jata hai aur jo insaan ayat-ul-kursi shaam mein padhle use subha tak ke liye jinno se mehfooz kardiya jaata hai. sahih-at-targeeb wat-tarheeb Hadith no. 662
9
10
ALLAH KE NAAM KE SAATH JO BADA MEHERBAAN BOHUT REHEM KARNE WALA HAI. Ae Allah! tu hi mera rab hai , tere siwa koi maabood nahi , tu ne mujhe paida kiya aur mein tera banda hun aur main apni taaqat ke mutabiq tere ahed aur waade par qaaem hun , main tujh se is cheez ki panah maangta hun jis ka main ne irteqaab kiya , main tere samne tere inaam ka iqraar karta hun jo mujh par hua aur main apne gunahon ka iqrar karta hun phir tu mujhe maaf karde . kyunke tere siwa koi gunaho ko maaf nahi karsakta . 11
Fazeelat rasoolullah (s.a.w.) ne farmaya jo insaan yaqeen ki haalat mein shaam ke waqt ye dua padhe aur isi raat inteqaal kar jae to wo insaan jannat mein jaega , isi tarah subha mein padhle aur shaam tak inteqaal kar jae to wo bhi jannat mein jaega . SAHIH BUKHARI 12
13
ALLAH KE NAAM KE SAATH JO BADA MEHERBAAN BOHUT REHEM KARNE WALA HAI. Ae Allah !mujhe mere badan mein aafiyat de , Ae Allah mujhe mere kaanon mein aafiyat de , Ae Allah mujhe meri aankhon mein aafiyat de , tere siwa koi maabood nahi . Ae Allah ! yaqeenan main kufr aur gareebi se teri panah mein aata hun aur ae Allah ! yaqeenan main azaab-e-qabr se teri panah mein aata hun , tere siwa koi maabood nahi SUNAN ABI DAWOOD 14
ALLAH KE NAAM KE SAATH JO BADA MEHERBAAN BOHUT REHEM KARNE WALA HAI. Mein Allah ke mukammal kalimaat ki panah mein aata hun uss ki makhlooq ke shar se. At-tirmidi hadith no. 3604
15
ALLAH KE NAAM KE SAATH JO BADA MEHERBAAN BOHUT REHEM KARNE WALA HAI. Is Allah ke naam ke saath jis ke naam ki barkat se koi cheez nuqsaan nahi pohncha sakti , zameen ki ho ya aasmaanon ki aur wo khoob sunne wala , khoob janne wala hai . JAMA’ TIRMIDI 16
Fazeelat Jo insaan subha aur shaam ye dua padhe ga , ise koi cheez takleef nahi degi . jama’ tirmidi Hadith no. 3388
17
ALLAH KE NAAM KE SAATH JO BADA MEHERNBAAN BOHUT REHEM KARNE WALA HAI. Allah ke siwa koi maabood nahi , wo akela hai , uska koi shareek nahi , uski badshaahat aur uski taareef hai aur wo har cheez par kamil qudrat hai . SUNAN IBN-E-MAJAH 18
Fazeelat Jo insaan ise shaam ke waqt padhega uske liye das nekiyan likh di jaengi , das gunah maaf kardiye jaenge , das darjaat buland kar diye jaenge , aur ye dua banu ismael mein se das gulaam aazad karne ke barabar hai , aur Allah taa’la ye dua padhne wale ko shaitan se mehfooz rakkhe ga . aur jo subha mein padhega uske liye yehi ajar hai . 19
20
ALLAH KE NAAM KE SAATH JO BADA MEHERBAAN BOHUT REHEM KARN WALA HAI . Ae Allah ! gaib aur hazir ke janne wale ! aasmano aur zameen ke paida karne wale ! har cheez ke rabb aur maalik ! main gawahi deta hun ke tere siwa koi maabood nahi . main teri panah mein aata hun apne nafs ke shar se aur shaitan ke shar se aur uske shirk se aur is baat se ke apne hi khilaaf kisi buraai ka irteqaab karun ya ise kisi musalmaan ki taraf kheench laaun ABU DAWOOD 21
22
ALLAH KE NAAM KE SAATH JO BADA MEHERBAAN BOHUT REHEM KARNE WALA HAI. Ae Allah ! beshak main yujh se dunya aur aakhirat mein maafi aur aafiyat ka sawaal karta hun, Ae Allah beshak main tujh se apne deen , apni dunya aur apne ahl-omaal mein maafi aur aafiyat kasawaal karta hun . Ae Allah ! mere aebo par parda daal de aur meri ghabraahato mein aman de . Ae Allah ! tu meri hifazat farma mere saamne se , mere pichhe se , meri daaen taraf se , meri baaen taraf se aur mere upar se . aur main teri azmat ke saath is baat se panah maangta hun ke achanak apne niche se halaak kiya jaaun. 23
ABU DAWOOD
24
ALLAH KE NAAM KE SAATH JO BADA MEHERBAAN BOHUT REHEM KARNE WALA HAI. Hum ne shaam ki aur Allah ke saare mulk ne shaam ki aur sab taareef Allah hi ke liye hai . Allah ke siwa koi maabood nahi wo akela hai , eska koi shareek nahiusi ki badshaahat hai aur usi ke liye sab taareef hai aur wo har cheez par kamil qudrat rakhta hai .ae mere rab !main tujhse is raat ki behtari ka sawaal karta hun aur iski behtari ka jo iske baad aane wali hai, aur main is raat ke shar se teri panah mein aata hun aur iske baad aane wali raat ke shar se , ae mere rab ! main kahili aur budhaape ki kharabi se teri panah mein aata hun . ae mere rab !main aag ke azaab se aur qabar ke azaab se teri panah mein aata hun.
MUSLIM
25
ALLAH KE NAAM KE SAATH JO BADA MEHERBAAN BOHUT REHEM KARNE WALA HAI . Ae Allah ! teri hi hifazat mein hun ne subha ki aur teri hi hifazat mein shaam ki aur tere hi naam par hum zinda hote aur tere hi namm par hum marte hain aur teri hi taraf lotna hai. TIRMIDI 26
ALLAH KE NAAM KE SAATH JO BADA MEHERBAAN BOHUT REHEM KARNE WALA HAI. Main Allah ki pakeezgi bayaan karta hun uski taareef ke saath . (100 times) SAHIH MUSLIM
27
Fazeelat jo insaan ye dua 100 baar subha aur 100 baar shaam ke waqt padhe ga , qayamat ke din koi insaan iske amal se afzal amal le kar nahi aaiga . lekin agar koi insaan iske barabar ya isse zyada baar kahe to wo usse behtar ho sakta hai .
28
ALLAH KE NAAM KE SAATH JO BADA MEHERHEBAAN BOHUT REHEM KARNE WALA HAI. Main Allah se bakhshish maangta hun apne gunahon ki aur uske saamne tauba karta hun . SAHIH BUKHARI
29
ALLAH KE NAAM KE SAATH JO BADA MEHERBAAN BOHUT REHEM KARNE WALA HAI. Ae Allah ! rehmat naazil farma muhammed (s.a.w.) par aur aale-muhammed (s.a.w.) par. SUNAN NASAI
30
DUA TAKEN FOM HISNUL MUSLIM Pictures from RAW PIXEL
AL NAKHLA